Ek Soch Aqal Se Pisal Gayi


Episode Artwork
1.0x
0% played 00:00 00:00
Apr 17 2020 1 mins  
Ek Soch Aqel se phisal gay Mujhe yaad thi k badl gyi Meri Soch thi ke wo kawab tha Meri zindgi ka Hissab tha Meri Justju ke Bar-aqs thi Meri Muskiloo ka wo Aqass thi Mujhe yaad ho to wo soch thi jo na yaad ho to guman tha Mujhe bethy bethy Guman Howa Guman Nhi Tha Khuda tha Wo Meri soch nhi thi khuda tha Wo Khudy ke jis ne Zuban di Mujhe Dil Diya Mujhe Jan De Wohi ZUBAN JESY na chla sake Wohi dil jesy na mana sake Wohi jan jesy na laga sake Kahbi mil to tujko bataye hum tujhe iss terha se satye hum Tera Ishq tujse cheen ke tujhe May,, pela ke rulaye hum Tujhe dard do to na Sah Sake Tujhe do zuban to na keh sake Tujhe Doo makan tu na rah sake Tujhe muskiloo mein ghira ke mein koi asy rasta nikal do Tere dard ki mein dawa kero kisi garz ke mein siwa karo Tujhe hir nazr pe ubooor doo tujhe zindgi ka saoor do Kabhi mil bhi jaye gy gum na ker Hum ger bhi jaye gy gum na ker Tere Ek hone mein shak nhi Meri niyaatoo ko tu saaf ker Teri shan mein bhi kami nhi mere iss kalam ko maaf ker। Written by:- Yousuf Bashir qureshi Recorded by:-Mahesh